Jaa ke kohsaar se sar maaro ki aawaz to ho


جا کے کہسار سے سر مارو کہ آواز تو ہو
خستہ دیواروں سے ماتھا نہیں پھوڑا کرتے
– گلزار

Jaa ke kohsaar se sar maaro ki aawaz to ho
Khasta deewaroN se maatha nahin Phoda karte
– Gulzar

जा के कोहसार से सर मारो कि आवाज़ तो हो
खस्ता दीवारों से माथा नहीं फोड़ा करते
-गुलज़ार

Meaning of:

Kohsaar, कोहसार, کہسار: पहाड़, Mountain

Presenting another gem from Gulazar Saheb.

Jaa ke kohsaar se sar maaro ki aawaz to ho
Khasta deewaroN se maatha nahin Phoda karte
– Gulzar

Here’s the complete ghazal

Haath choote bhee to rishte nahi cho-oda karte
waqt ki shaakh se lamhe nahi toda karte

Jiski awaaz mein silwat ho, nighaon mein shikan
Aisi tasweer ke tukde nahin joda karte

Lag ke saahil se jo behta hai use behne do
Aise dariya ka kabhi rukh nahin moda karte

jaagne par bhe nahin aankh se girti kircheN
is tarah khawaboN se aankheN nahiN phoda katre

Shahad jeene ka mila karta hain thoda thoda
jaane walon ke liye dil nahin toda karte

Jaa ke kohsaar se sar maaro ki aawaz to ho
Khasta deewaroN se maatha nahin Phoda karte

हाथ छूटें भी तो रिश्ते नहीं छोड़ा करते
वक़्त की शाख़ से लम्हे नहीं तोड़ा करते

जिसकी आवाज में सिलवट हो निगाहों में शिकन
ऐसी तस्वीर के टुकड़े नही जोड़ा नहीं करते

लग के साहिल से जो बहता हैं उसे बहने दो
ऐसे दरिया का कभी रुख़ नहीं मोड़ा करते

जागने पर भी नहीं आँख से गिरती किरचें
इस तरह ख़्वाबों से आँखें नहीं फोड़ा करते

शहद जीने का मिला करता हैं थोड़ा थोड़ा
जाने वालों के लिये दिल नही तोड़ा नही करते

जा के कोहसार से सर मारो कि आवाज़ तो हो
ख़स्ता दीवारों से माथा नहीं फोड़ा करते

Photo credit: michael pollak / Foter / CC BY

Leave a Reply