مہک رہی ہے ابھی آنچ اُس کے سانسوں کی
لبوں کے پاس دہکتا سراب چھوڑ گیا
– خلش قادری
Mehak rahi hai abhi aanch uske sansoon ki
labon ke paas dekhta saraab chh-od gaya
-Khalish Qadri
महक रही है अभी आंच उसके सांसों की
लबों के पास दहकता सराब छोड गया
– ख़लिश कादरी
Meaning of:
Mehak, महक, مہک: खुशबू, fragrance
Saraab, सराब, سراب: मृगतृषणा भ्रम, illusion, Mirage
Mehak rahi hai abhi aanch uske sansoon ki
labon ke paas dehkta saraab chh-od gaya
-Khalish Qadri
A poet who wrote romantic poetry as it should be. Khalish Qadri was a brilliant urdu poet who was from Kamptee, a small suburb of Nagpur. Read the complete ghazal:
Wo meri mez par apni kitaab ch-od gaya
phir intezaar ka taaza azaab chod gaya
Hai choor choor badan aur shikan shikan bistar
shab-e-visaal ka ranj-e-hisaab cho-od gaya
Mehak rahi hai abhi aanch uske sansoon ki
labon ke paas dehkta saraab ch-od gaya
Badan ki kabr mein madfoon kar gaya jaise
ye kis azaab mein mujhko shabab cho-od gaya
Na ranjishon ki kasak hai na khwashon ki humak
har ek zakhm ko be aab-o-taab cho-od gaya
Photo credit: Thomas’s Pics / Foter / CC BY